Thursday, November 27, 2008

Is Se Zyaada Hum Kya karein?

Zakhm itne gehre hain, Izhaar kya karein,
Hum khud nishana ban gaye, waar kya karein,
Mar gaye hum, magar khuli rahi aankhen,
Ab is se zyaada, unka intezar kya karen….

Sitaro se bhara aasman magar aftaab nazar nahi aata,
Phoolon se bhari mehfil mein koi gulaab nazar nahi aata,
Khwab to dekhti hai ankhen roz naye,
Jiski tabeer ho mumkin aisa khwab nazar nahi aata.

Us ko mera halka sa ehsas to hai
Be-Dard sahi wo mera humraz to hai

Wo aye na aye mere pas lekin
Shidat se mujhe uska intezaar to hai

abhi nahi to kya huwa mil hi jayenge kabhi
mere dil me us se milne ka aas to hai



No comments: