Thursday, November 27, 2008

Aisa kyun kiya ?

Kabhi kabhi ye sab kuch apna khyaal lagta hai
Wo mera hai ya nahi ,uljha sawal lagta hai
Main wafa kar k b gumnamiyon main hun
Wo bewafa hai magar BEMISAL lagta hai

Zakhm itnay gehray hain k izhar kya karain
Ham kud nishana ban gae waar kya karaen
Mar gae ham magar Khuli rahi Ankhen
Ab is se zyada unka intizar kya karaen

Mohabton ka ajeeb karobar Hum ne kiya,
Wo bewafa se hi magar Pyar Hum ne kiya.
Wo chod gai to mat kaho bura usko
Qasoor uska nahi aitbar Hum ne hi kia

Unhe nafrat thi humse to izhar kyoun kiya,
Dena tha zehar to pyar kyun kiya,
Dekar zehar kehte hain pena hoga,
Aur jab pi gaye zehar to keh dia ab jeena hoga

No comments: