Thursday, November 27, 2008

Kaisa majaak kar gayi

wo na aaye un ki yaad aa k bafa kar gayi,
un se milne ki tamaam sukoon taba kar gayi,
aahat hoi to soch asar dua kar gayi,
darwaza khola to daikha mazak hum se hawa kar gai

zara si baat dair tak rulati rahi
Khushi mein bhi aankh ashk bahati rahi
Koi mil k kho gaya tu koi kho k mil gaya
Bas zindagi hum ko aisay hi aazmati rahi

Aashk Woh Bhi Giranay Lagay Hain
Paigam Un K Bhi Anay Lagay Hain
Iqraar Kartay Hain Ab Mohabbat Ka Woh Bhi
Jab Duniya Chod Hum Jaanay Lagay Hain…

No comments: